Sadiyaan

September 13, 2010

Here’s a new Urdu poem I wrote.

Sadiyaan beetii, na beeta woh ek pal
Mehmaan tha bas pal ka, bane maraasim sadiyon ke

Hairaan na ho beher, gar bujhe pyaas tujhse
Barson piye ahl-e-talab ne, jaam-e-nihaan ashqon ke

Siyaahi bana humsafar, maujuudgi iski har su
Saayaa bankar wafaa kare, gar hon silsile ujaalon ke


Follow

Get every new post delivered to your Inbox.